People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

tumhare bin gujaare hai kai din
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Tumhare-Bin-Guzare-Ha
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge

khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
khabar kya thi ki apne bhi
sitare aise bigadenge
ki jo puja ke kabil hai
wahi log rang badalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge

tumhari ek na manenge, karenge aaj man mani
bahut tarsaya hai tumne, nahi ab aur tarsenge
sataya to nahi karte, kabhi kismat ke maro ko
kisi ki jaan jayegi, kisi ke arman nikalenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujare hai kai din
ab na gujarenge

manaya tumko kitni baar, lekin tum nahi mane
to ab majbur hokar hum, shararat per bhi utrenge
hakikat kya hai, ye pahle bata dete to acha tha
khud apne jaal se hi hum
na jaane kaise hum nikalenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge

kayi din baad fir ye saaj, ye singaar paya hai
nahi malum tha ki aap yu, inkar kar denge
tumhe kaise bataye, kya humare sath gujari hai
tumhare khwab tutenge, agar sach baat kah de
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
jo dil me aa gayi hai aaj
hum vo kar hi gujarenge
tumhare bin gujaare hai kai din
ab na gujarenge
apni aatma se puchho
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Atmaram/Apni-Atma-Se-Poochho/
ek tha kaanha ek thi radha
aaj o geet sunao na
un dono ki prem kahani
ham nache tum gao na
pandit gyani aur pujari
kya sadhu kya sanyasi
sab kahte hai jhuth hame tum
sachchi baat batao na
kya sach hain kya jhuth hain
are kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain, ye hamse na puchho

tan se lagta kunwar kanhaiya
man se lagta jogi hain
koi kahe bahrupiya usko
koi kahe wo dhongi hain
jaisi jiski najar hain, vaisa dikhta bala jogi hain
na bahrupiya na wo dhongi
wo to prem ka rogi hain
aaye hay prem rog kisko kahte hain
itna to bolo, bolo itana to bolo
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain

kaun use baandhe hain jispe
chalta nahi hain kisi ka rob
in hatho me dor hain uski
jiske hath me sabki dor
jo sabko bandhe hain us par
chalta sirf dilo ka jor
ek taraf rakhi ka bandhan
ek taraf mamta ki dor
ek tisra karm ka bandhan, uski baat kaho
ho uski baat kaho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain

puchh liya hain apne dil se
dil me aakar chor chhupa
bhed hamara jaan liya par
apna dil na khol saka
uske dil me sabki mohabbat
dil na kisi ka tod saka
bolna chaha tha sach sach par
pyar kiye na bol saka
dil to ho jhutha hain sari, duniya se kah do
kah do duniya se kah do
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain

wo sabka rakhwala hain fir
chor use kyun kahte hain
badnami bhi karte hain
aur uske bina na rahte hain
usne churaya hain dil sabka
log to sach hi kahte hain
jaha pe apna dil rahta ho
vahi to ham sab rahte hain
kaha pe uska dil laga
aur kiske chor hain wo bolo
kiske chor hain wo
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
apni aatma se puchho, apne raam se puchho
are kya sach hain kya jhuth hain